आखिरी ग़ज़ल

आखिरी ग़ज़ल
Desh Ratna

Wednesday, May 12, 2010

Ghalib 1


Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota,
Duboya mujhko hone ne, na hota main to kia hota !

Hua jab gham se yun behis to gham kia sar ke katne ka,
Na hota gar juda tan se to zaano par dhara hota !

Hoi muddat ke Ghalib mar gaya par yad ata hai,
Wo har ek bat pe kehna ke 'yun hota to kia hota' !!




Naqsh fariyadi hai kis ki shokh e tehreer ka
Kaaghazi hai perahan har pekar e tasveer ka !

Ka'w kaw e sakht jani haye tanhai na pooch
Subh karna shaam ka, lana hai joy e sheer ka !

Jazba e be ikhtiyar e shoq dekha chahiye
Seena e shamsheer se bahar hai dam shamsheer ka !

Aagahi daam e shaneedan jis qadar chahe bichhaye
Mudd'a anqa hai apne aalam e taqreer ka !

Bas ke hun Ghalib aseeri mein bhi aatish zer e paa
Moy e aatish deeda hai halqa meri zanjeer ka !!





Dar khuor e qehr o ghazab jab koi hum sa na hua,
Phir ghalat kia hai ke hum sa koi paida na hua !

Bandagi mein bhi wo azada o khudbeen hain, ke hum,
Ulte phir aaye dar e kaaba agar waa na hua !

Sab ko maqbool hai dawa teri yaktaai ka,
Robarou koi but e aaina e seema na hua !

Kam nahi naazish e humnai chashm e khuban,
Tera beemar, bura kia hai, gar acha na hua !

Seene ka daagh hai wo nala ke lab tak na gaya,
Khaak ka rizq hai wo qatra ke darya na hua !

Naam ka mere hai jo dukh ke kisi ko na mila,
Kaam mein mere hai jo fitna ke barpa na hua !

Har bun e mou se dam e zikr na tapke khunanaab,
Hamza ka qissa hua, ishq ka charcha na hua !

Qatre mein dajla dikhai na de juzo mei kul,
Khel larkon ka hua, deeda e beena na hua !

Thi khabar garm ke Ghalib ke urenge purze,
Dekhne hum bhi gaye the pa tamasha na hua !!





Dard minnat kash e dawa na hua,
Main na acha hua, bura na hua !

Jama karte ho kyon raqeebon ko,
Ek tamasha hua, gila na hua !

Hum kahan qismat aazmane jayein,
Tu hi jab khanjar aazma na hua !

Kitne sheerein hain tere lab ke raqeeb,
Gaaliyan kha ke be maza na hua !

Hai khabar garm un ke aane ki,
Aaj hi ghar mei boriya na hua !

Kia wo namrood ki khudai thi,
Bandagi mein mira bhala na hua !

Jaan di, di hui usi ki thi,
Haq to yun hai ke haq ada na hua !

Zakhm gar dab gaya, lahu na thama,
Kam gar ruk gaya, rawaa na hua !

Kuch to parhiye ke log kehte hain,
Aaj Ghalib ghazal sara na hua !!





Shab ke wo majlis firouz e khulwat e naamos tha,
Rishta har shama khar e kiswat e faanos tha !

Mashhad e aashiq se kuson tak jo ugti hai hina,
Kis qadar ya rab halak e hasrat e pabous tha !

Haasil e ulfat na dekha juz shikast e aarzu,
Dil be dil pewasta, goya, yak lab e afsos tha !

Kia kahon beemari e gham ki faraghat ka bayan,
Jo ke khaya khoon e dil, be minnat e kaimos tha !!




Deher mein, naqsh e wafa wajh e tasalli na hua
Hai ye wo lafz ke sharminda e maani na hua

Sabza e khat se tera kakul e sarkash na daba
Ye zamurrad bhi, hareef e dam e afaye na hua

Main ne chaha tha ke andoh e wafa se chooton
Who sitamgar mere merne pai bhi razi na hua

Dil guzargah e khayal e mai o saaghar hi sahi
Gar nafas jada-e-sar manzil e taqwa na hua

Hun tere wada na karne mein bhi razi ke kabhi
Gosh minnat kash e gulbang e tasalli na hua

Kis se, mehromi e qismat ki shikayat kijiye
Hum ne chaha tha ke mar jayein, so wo bhi na hua

Mar gaya sadma e yak jumbish e lab se Ghalib
Natwani se hareef e dam e Eesa na hua !!






Wo firaaq aur wo visaal kahan,
Wo shab o roz o maah o saal kahan !

Fursat e karubar e shoq kise,
Zuaq e nazara e jamaal kahan !

Dil to dil wo dimaagh bhi na raha,
Shor e suada e khat o khaal kahan !

Thi wo ek shakhs ke tasawwur se,
Ab wo raanaiy e khayaal kahan !

Aisa aasan nahi lahoo rona,
Dil mei taqat, jigar mei haal kahan !

Hum se chho ta qimaar khan e ishq,
Waan jo jawein, gira mei maal kahan !

Fikr e dunya mei sar khapata hun,
Main kahan aur ye wabaal kahan !

Muzmahil ho gaye quwa Ghalib,
Wo anaasir mei eitedaal kahan !!




Husn ghamzay ki kashakash se chhuta mere bad,
Baare, aaraam se hain ehl e jafa mere bad !

Munsib e sheeftegi ke koi qaabil na raha,
Hoi ma'azouli e andaaz o ada mere bad !

Shamma jalti hai to us mein se dhuwan uthta hai,
Shola e ishq siyah posh huwa mere bad !

Khoo'n hai dil, khaak mei, ahwal e butaa'n par, yane,
Un ke nakhun hoye muhtaaj e hina mere bad !

Hai junoo'n ehl e junoo'n ke liye aaghosh e wida'a,
Chaak hota hai girebaa'n se juda mere bad !

Gham se marta hun ke itna nahi dunya mei koi,
Ke kare ta'aziyat mehr o wafa mere bad !

Aaye hai be kasi e ishq pe rona Ghalib,
Kis ke ghar jayega selaab e bala mere bad !




Ghar jab bana liya tere dar par kahe baghair,
Janega ab tu bhi mera ghar, kahe baghair !

Kehte hain jab rahi na mujhe taqat e sukhan,
Jaanu kisi ke dil ki main kyon kar kahe baghair !

Kaam us se aa para hai ke jis ka jahan mein naam,
Leway na koi naam sitamgar kahe baghair !

Ji mein hi kuch nahi hai hamare wagarna hum,
Sar jaye ya rahe, na rahein par kahe baghair !

Chhoronga main na us but e kaafir ka poojna,
Chhoray na khalq go mujhe kaafir kahe baghair !

Behra hun to chahiye douna ho iltefaat,
Sunta nahi hun baat mukarrar kahe baghair !

Ghalib na kar huzoor mein tu bar bar arz,
Zaahir hai tera haal sab un par kahe baghair !!





Kyon jal gaya na taab e rukh e yar dekh kar,
Jalta hun apni taqat e deedar dekh kar !

Aatish parast kehte hain ehl e jahan mujhay,
Sargarm e nala haye sharar bar dekh kar !

Aata hai mere qatl ko, par josh e rashk se,
Marta hun us ke hath mein talwar dekh kar !

In aablun se paon ke ghabra gaya tha main,
Ji khush huwa hai rah ko pur khar dekh kar !

Girni thi hum pe barq e tajalli, na toor par,
Dete hain bada zarf e qadh khuwar dekh kar !

Sar phorna wo Ghalib shureeda hal ka,
Yad aa gaya mujhay teri deewar dekh kar !




Bas ke dushwar hai har kam ka aasan hona,
Aadmi ko bhi mayyasar nahi insaan hona !

Ranj se khugar hua insaan to mit jata hai ranj,
Mushkilien mujh par pari itni ke aasan ho gayien !

Milna tera agar nahi aasan to sehel hai,
Dushwar to yehi hai ke dushwar bhi nahi !

Ishrat e qatra hai darya mei fana ho jana,
Dard ka hadh se guzarna hai dawa ho jana !




Nafs na anjuman e aarzu se bahar kheench,
Agar sharab nahi, intezar e saghar kheench !

Tujhe bahana e rahat hai intezar aye dil,
Kiya hai kis ne ishara ke naz e bistar kheench !

Teri taraf hai, ba hasrat, nazara e nargis,
Be kuari e dil o chashm e raqeeb saghar kheench !

Mere qadh mein hai suhba e aatish e pinha,
Be roye sufra kabab e dil samandar kheench !!




Jab be taqreeb e safar yar ne mehmil bandha,
Tapish e shuaq ne har zarre pe ek dil bandha !

Ehl e beenish ne be herat kada e shukhi e naz,
Johar e aaina ko tooti e bismil bandha !

Yas o ummeed ne yak arbadah maida'n manga,
Ijz e himmat ne tilsim e dil e saail bandha !

Na bandhe tashnagi e zuaq ke mazmoon Ghalib!
Garche dil khol ke darya ko bhi saahil bandha !!




Wo meri chain e jabeen se gham e pinha'n samjha,
Raz e maktoob ba be rabti e unwaa'n samjha !

Yak alif baish nahi saiqal aaina hunooz,
Chaak karta hun main jab se ke garibaa'n samjha !

Bad gumani ne na chaha use sargaram khuraam,
Rukh pe har qatra arq deeda e hairaa'n samjha !

Ejz se apne ye jana ke wo bad khu hoga,
Nabz e khas se tapish e shuala e suazaa'n samjha !

Safr e ishq mei ki zuaf ne rahat talabi,
Har qadam saaye ko main apne shabistaa'n samjha !

Dil dia jaan ke kyon usko wafadar, Asad!
Ghalti ki ke jo kaafir ko musalmaa'n samjha !!




Phir mujhe deeda e tar yad aya,
Dil, jigar tashna e fariyad aya !

Dam liya tha na qayamat ne hanooz,
Phir tera waqt e safar yad aya !

Zindagi yun bhi guzar hi jati,
Kyon tera rahguzar yad aya !

Kia hi rizwaan se larai hogi,
Ghar tera khuld mei gar yad aya !

Aah wo jurrat e fariyad kahan,
Dil se tang aa ke jigar yad aya !

Koi veerani si veerani hai,
Dasht ko dekh ke ghar yad aya !

Main ne majnoon pe, larakpan mein Asad,
Sang uthaya tha ke sar yad aya !!




Ye na thi hamari qismat ke visal e yar hota,
Agar aur jeete rehte, yehi intezar hota !

Tere vaade pe jiye hum, to ye jan jhoot jana,
Ke khushi se mar na jatay agar eitebar hota !

Teri nazuki se jana ke bandha tha ehd buoda,
Kabhi tu na tor sakta, agar astawaar hota !

Ye kahan ki dosti hai, ke bane hain dost naasih,
Koi chara saaz hota, koi gham gusaar hota !

Kahon kis se main ke kia hai, shab e gham buri bala hai,
Mujhe kia bura tha marna, agar eitebar hota !

Hoye mar ke hum jo ruswa, hoye kyon na gharq e darya,
Na kabhi janaza uthta, na kaheen mazaar hota !

Ye masa'il e tasawwuf, ye tera bayan Ghalib,
Tujhe hum wali samajhte jo na bada khuwar hota





uz qais aur koi na aaya be ru'ye kaar,
Sehra magar bah tangiy e chashm e husood tha

Aashuftagi ne naqsh e suwaida kiya durust,
Zaahir hua ke daagh ka sarmaya dood tha

Tha khuaab mein khayal ko tujh se muamila,
Jab aankh khul gai, na zaiyan tha na sood tha

Laita hon maktab e gham e dil mein sabaq, hunooz,
Lekin yehi ke raft, gaya aur bood tha

Dhaanpa kafan ne dagh e uyoob e barhangi,
Main, warna har libas mein nang e wujood tha

Teeshe bagair, mar na sako kohkan, Asad!
Sargashta e khumar e rusoom o quyood tha !!






Dil mera soz e nihan se be muhaba jal gaya,
Aatish e khamosh ke manind goya jal gaya

Dil mein zauq e wasl o yad e yar tak baqi nahi,
Aag is ghar mein lagi aisi ke jo tha jal gaya

Main adam se bhi parey hun. warna ghafil! barha'n,
Meri aah e aatisheen se bal e anqa jal gaya

Arz kijay johar e andaishah ki garmi kahan,
Kuch khayal aya tha wehshat ka ke sehra jal gaya

Dil nahi tujhko dikhata warna daaghon ki bahar,
Is chiraghan ka, karun kya, kar farma jal gaya

Main hun aur afsurdagi ki aarzu Ghalib! Ke dil,
Daikh kar tarz e tapaak e ehl e duniya jal gaya





Hawas ko hai nishat e kar kya kya,
Na ho marna to jeene ka maza kya

Tajahul paishgi se muddua kya,
Kahan tak aye sarapa naz kya kya

Nwazish haye be ja daikhta hun,
Shikayat haye rangeen ka gila kya

Nigah e be muhaba chahta hun,
Taghaful haye tamkeen azmaan kya

Farogh e shola e khas yak nafas hai,
Hawas ko pas e namoos e wafa kya

Nafas mauj e muheet e baikhudi hai,
Taghaful haye saqi ka gila kya

Dimagh e etr e pairahan nahi hai,
Gham e awargi haye saba kya

Dil her qatrah hai saz e 'ana al baher',
Hum uske hain hamara poochna kya

Muhaba kya hai, main zamin, idhar daikh,
Sheedan e nigah ka khoon baha kya

Sun aye gharatgar e jins e wafa, sun,
Shikast e qeemat e dil ki sada kya

Kiya kis ne jigardari ka dawa,
Shakeeb e khatir e ashiq bhala kaya

Ye qatil, wada e sabr azman kyon,
Ye kafir fitna e taqat ruba kya

Bala e jaan hai, Ghalib us ki her bat
Ibaarat kya, ishaarat kya, ada kya !!





Shuaq har rung raqeeb-e-sar-o-samaan nikla
Qais tasweer ke parday mein bhi uryaan nikla

Zakham ne dad na di tangi e dil ki ya rab!
Teer bhi seena e bismil se pur afshan nikla

Bou e gul, nala e dil, dood e chiragh e mahfil
Jo teri bazm se nikla so pareshaan nikla

Dil e hasratzada tha ma'adai lazzat e dared
Kaam yaron ka ba qadr-e-lab-o-dandaan nikla

Aye nau amooz e fana, himmat e dushwar pasand
Sakht mushkil hai ke ye kaam bhi asaan nikla

Dil mein phir girye ne ek shuar uthaya Ghalib
Aah! jo qatrah na nikla tha, so toofaan nikla !!





Nukta'cheen hai, gham e dil usko suna'ye na bane,
Kia bane baat jahan baat bana'ye na bane

Main bulata to hun usko magar aye jazba e dil,
Us pe ban ja'ye kuch aisi ke bin aa'ye na bane

Khel samjha hai kaheen chor na de, bhool na ja'ye,
Kaash yun bhi ho ke bin mere sata'ye na bane

Ghair phirta hai liye yun tera khat hathun mein,
Koi poche ke kia ha, to chhupa'ye na bane

Is nazakat ka bura ho, wo bhale hain to kia!
Hath aawein to unhe haath laga'ye na bane

Keh sake kon ke ye jalwagari kis ki hai?
Parda chora hai wo us ne ke utha'ye na bane

Muat ki raah na dekhun? ke bin aa'ye na rahe,
Tum ko chahun? ke na aao to bula'ye na bane

Buajh wo sar se gira hai ke utha'ye na uthe,
Kaam wo aan para hai ke bana'ye na bane

Ishq par zor nahi, hai ye wo aatish Ghalib,
Ke laga'ye na lage aur bujha'ye na bane





Bazm e Shahenshah mein, asha'ar ka daftar khula
Rakhiyo ya rab! ye dar e ganjeena e gauhar khula

Shab hoi, phir anjum e rakhshindah ka manzar khula
Is takalluf se ke goya butkaday ka dar khula

Garche hun deewana, par kiyon dost ka khaon faraib
Aastin mein dashnah pinhan, haath mein nashtar khula

Go na samjhon uski batein, go na paon uska bhaid
Par yeh kya kam hai ki, mujh se woh pari paikar khula

Hai khayale husn mein husne amal ka sa khayal
Khuld ka ek dar hai meri gore ke ander khula

Munh na khulnai par hai woh aalam ki dakha hi nahin
Zulf se badkar niqab us shokh ke munh par khula

Dar pe rahne ko kaha aur keh ke kaisa phir gaya
Jitne arse mein mera lipta hua bistar khula

Kiyon andhaire hai shabe gam? hai kiyon balaon ka nuzool
Aai udher hi ko rahey ga deedai akhter khula

Kaya rahon gurbat mein khush, jab hua hwadis ka ye hal
Namah lata hai, watan se, namah bar aksar khula

Uski ummat mein hon main, maire rahain kiyon kam band
Waste jis shahei ke, Ghalib! gunbad e bai dar khula




Laazim tha ke dekho mera rasta koi din aur
Tanha gaye kiyon, ab raho tanha koi din aur

Mit jaiga ser, ger tera patther na ghise ga
Hoon der pe tere nasiya fersa koi din aur

Aye ho kal aur aaj hi kahte ho ki jaoon
Mana ki hamaisha nahin, achcha koi din aur

Jate hoye kehte ho qayamat ko milenge
Kaya khoob, qayamat ka hai goya koi din aur

Han, aye falak e peer!jawan tha abhi arif
Kaya tera bigarta jo na merta koi din aur

Tum mah e shab e char dahum the mere gher ke
Phir kiyon na raha ghar ka wo naqsha koi din aur

Tum kaun se the aise khare dad o sitad ke!
Kerta malak-ul-maut taqaaza ki din aur

Mujh se tumhe nafrat sahi, nayyer se ldayee
Bachchon ka bhi daikha na tmasha koi din aur

Guzri na bher hal ye muddat khush-o-nakhush
Kerna tha jawan marg! Guzara koi din aur

Nadan ho jo kahte ho ke kiyon jeete hain Ghalib!
Qismat mein hain merne ki tamanna koi din aur




Deher mein, naqsh e wafa wajh e tasalli na hua
Hai ye wo lafz ke sharminda e maani na hua

Sabza e khat se tera kakul e sarkash na daba
Ye zamurrad bhi, hareef e dam e afaye na hua

Main ne chaha tha ke andoh e wafa se chooton
Who sitamgar mere merne pai bhi razi na hua

Dil guzargah e khayal e mai o saaghar hi sahi
Gar nafas jada-e-sar manzil e taqwa na hua

Hun tere wada na karne mein bhi razi ke kabhi
Gosh minnat kash e gulbang e tasalli na hua

Kis se, mehromi e qismat ki shikayat kijiye
Hum ne chaha tha ke mar jayein, so wo bhi na hua

Mar gaya sadma e yak jumbish e lab se Ghalib
Natwani se hareef e dam e Eesa na hua !!

1 comment: